Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya
Sari Duniya Roti hai Chup kar
Me jo thoda Ro liya to Bat Kya
Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki
Maine thoda Soch liya to Bat Kya
Roshni ki Chah to sab ko hai
Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya
Zindagi k is Haseen Khwab me
Maine Use mang liya to Bat Kya
Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha
Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya
Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya
Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum
Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin
Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam
Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo…
***************
Jo bani ho Mere lye
Jis ke lye mai Jee raha hoon
Jo kahe Hum saath hain Tere
Jise dekhne k liye Tarap raha hoon
Ek aisa hi Dildaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye
Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye
Ho har Waqt rahe saath mai Mere
Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye
Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jis ki ek Hansi k liye
Mar jane ko Dil kare
Jo kehde ek baar to
Phir Jeene ko Dil kare
Aisa hi Ek Humsafar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Ek baar mili thi Mujhe woh
Par pata nahi kaha kho gayi
Ab agar mil jaye toh
use kahi jane na doon
Wohi khoya Yaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
No comments:
Post a Comment